Libra Personality In Urdu Libra Girl Libra Man

Libra star ki pasand yani phool mausam bahar ke akhir mein khiltay hain un flowers mein rose aur bahar mein khilnay walay neelay rang ke phool hotay hain is ke ilawa unhain khubsurat khushbu aur phoolon ke guldastay jo khubsurati se sajaye hon bohat pasand atay hain.

Pasandida Mahool:
Libra afrad ko apne mazaj ke mutabiq apne ideal mahool ko apna laina chahiye kyoun ke un ke burj ka ansar mitti hai, is wajah se libra people ki ye koshish hoti hai ke woh foran apne ghar wapas pohanch jayain. Libra afrad ko apne ghar ki sajawat karne ka bohat shoq hota hai aur un ke ghar ki khidkiyon mein phool wale chotay poday rakhay hote hain jabke un ke ghar kafi roshan hote hain. Libra apne room mein araishi aram furniture aur khubsurat rangon ke parday pasand karte hain un ke houses mein amooman nayab aur nadar cheezain nazar ati hain aur un cheezon ko woh dusre logon ko dikhana pasand karte hain. Un ke nadar aur nayab khazanay mein cheeni ke bartan koi paintings, recorder ya jewellery ya dusri precious cheezain ho sakti hain jo dusre gharn mein aam tor par saji hoi nazar nahin ayain gi.
Libra people ko purani tarz ke lekin jadeed sahulaton se mazeen makan rehnay ke liye pasand hote hain jab ke woh shehar ke nawah mein rehna pasand kartay hain jahan sakoon aur khamooshi ho. Libra khanay peenay ke shauqeen hotay hain aur apne guests ki tawaza apne ghar par hi karna pasand kartau hain aur naye naye khanay pakanay ke shooq mein un ka zayada tar waqt baqi ghar ki tarah khubsurat kitchen mein guzarta hai.

Kanjoosi Ka Bachat: Libra star intihai garam joshi aur adbi zauq rakhne wala sitara hai. Is ko fitrat aur zameen se gehra lagao hai. Ye log fanoon aur art ki taraf se jo rujhan paya jata hai us ko zohra ke asrat ne aur barha diya hai lekin libra people ke fankarana rujhanat ka izhar takhleeqi noeeyat ka nahin hota kyoun ke woh fun ko zindagi ke liye istemal karna chahte hain. Fun baraye fun se un ko dilchaspi nahin. Woh apne fun se kaam laina chahte hain ke khud bhi faida uthayain aur dusron ko bhi faida pohanchayain.

Fitrat Ke Shedai: Agar woh beroon e mulk aur mulk ki beautiful places ki sair karne ki salahiyat nahin rakhtay tou apne shehar aur us ke paas ke gardens aur parks mein sair kar ke hi apne zauq ki taskeen ka saman kar laitay hain. Agar woh karachi jese sahili shehar mein rehtay hain tou un ke liye samandar ka manzar kohsaron ke manazir se kam dilchasp nahin ho ga.
Libra woman bhi qudrati manazar se dilchaspi rakhti hai aur Libra man ke muqablau mein kam. Par woh chahti hai ke kabhi abhi shehar ki hangama parwar zindagi se nikal kar khuch waqt village ke mahool mein guzrey.

1 comments:

kirtipathak said...

You have quite wonderfully explained about Libra zodiac sign in Urdu. If anybody wants to check few facts about this zodiac sign kindly visit OmAstrology for that.

Post a Comment